Kabhi Kabhi Jab Main Bahut Thak Jaata Hoon
Swarthi Samaj Ke Swartho Se
Pak Jaata Hoon
Jab Ubalkar Hradya Ka Rakt
Paani Ban Ke Nentron Se Chal Chala Aata Hain
Tab Maa Ka Pyar Bhara Sparsh
Mujhe Khoob Yaad Aata Hain
Maa Ki Lori, Maa Ka
Gussa, Khatti Meethi Maa Ki Daante
Haye Mamta Ki Wo Anmol Nidhiya
Wo Nidhiya Aakar Mera Sar
Sahlati Hain
Mujhe Pyar Karti Hai, Khoob
Dulrati Hain
Aur Phir Meri Saari Thakan
Kahin Gum Ho Jaati Hain
Aur Main Phir Se Naveen Ho
Jaata Hoon
Karyo Mein Kho Jaata Hoon
Kabhi Kabhi Jab Main Bahut
Darr Jaata Hoon
Ya Muskeelo Ke Aane Se
Ghabrata Hoon
To Papa Ke Majboot Baaju Mujhe
Yaad Aate Hain
Urja Se Bhari Unki Ungliya
Jinko Pakadkar Main Khada Hona
Seekha
Jinke Sahare Se Chalna Seekha
Aur Jinke Aashish Se Aaj Dour
Sakta Hoon
Unki Atma Vishwas Se Bhari
Aankhen
Mujhe Niharati Hain
Aise Niharati Hain Ki
Jaise Dekh Rahe Ho Kishi
Himalyaa Ko
Yaa Phir Pavitra Devalya Ko
Ve Kehti Hain Mujhse Ki
Main Swarg Dheesh Indra Ko
Prashatra Kar Sakta Hoon
Ugte Sooraj Ko Pal Mein Ast
Kar Sakta Hoon
Phir Kinchit Matra Bhi Main
Bhaybheet Nahi Rahta
Mere Ander Aashanka Ka Jwar
Nahi Rahta
Main Khud Se Aswast Ho Jaata
Hoon
Kaaryo Mein Kho Jaata Hoon
Mamma Pyar Karti Hain, Urja
Deti Hain
Papa Vishwas Dete Hain Aur
Sahas Bhi
Aur Tum Mujhe Prayrit Karti Ho
Nirantar
Meri Prena Bankar
Jab Main Door Hota Hoon Apne
Path Se
Tum Kaan Pakadkar Mujhe Raste
Per Le Aati Ho
Oh: Prena
Kehti Ho Mujhse
Agar Main Manjil Se Pehle Ruka
To Durbhagya Ka Rakshas Mujhe
Cheen Le Jaayega
Tumahre Paas Se
Main Darr Kar
Kaaryo Mein Kho Jaata Hoon
Tumhe Paane Ki Aas Se
Prem Ke Ahsaas Se…………
No comments:
Post a Comment